qabiz raha hai dil pe jo sultan ki tarah
aaKHir nikal gaya shah-e-iran ki tarah
zahir mein sard o zard hai kaghan ki tarah
lekin mizaj us ka hai multan ki tarah
raaz-o-niyaz mein bhi akaD-fun nahin gai
wo KHat bhi likh raha hai to chaalan ki tarah
luqma halal ka jo mila ahl-kar ko
us ne chaba ke thuk diya pan ki tarah
zikr us pari-jamal ka jab aur jahan chhiDa
fauran raqib aa gaya shaitan ki tarah
ek lamha us ki did hui bas ki bhiD mein
aur phir wo kho gaya mere ausan ki tarah
main mubtala-e-qarz raha chaar sal tak
wo sirf chaar din raha mehman ki tarah
har baat ke jawab mein fauran nahin nahin
nikla zaban-e-yar se gardan ki tarah
'shahid' se kah rahe ho ki roze rakha kare
har mah jis ka guzra hai ramzan ki tarah
Ghazal
Qabiz raha hai dil pe jo sultan ki tarah
Sarfaraz Shahid