pyas ke bedar hone ka koi rasta na tha
is taraf baadal nahin the us taraf dariya na tha
raat ki tarikiyan pahchan leti thin use
ruh ki aawaz tha wo jism ka saya na tha
teri yaaden to charaghon ki qataren ban gain
pahle bhi ghar mein ujala tha magar aisa na tha
chand qatron ke liye dariya ko kyun taklif di
meri jaanib dekh lete main koi sahra na tha
raat aai to charaghon ki baDi tazim thi
aur jab guzri to koi puchhne wala na tha
Ghazal
Pyas ke bedar hone ka koi rasta na tha
Iqbal Ashhar