اردو हिंदी
Pyar mein tana-bana chalta rahta hai | Shaahi Shayari
pyar mein tana-bana chalta rahta hai

Ghazal

Pyar mein tana-bana chalta rahta hai

Anjum Ludhianvi

;

pyar mein tana-bana chalta rahta hai
ruThna aur manana chalta rahta hai

wade aur irade TuTe rahte hain
pina aur pilana chalta rahta hai

nai-naweli kaliyan khilti rahti hain
phulon ka murjhana chalta rahta hai

pyar ke git sunate rahte hain bhanwre
kaliyon ka sharmana chalta rahta hai

phulon ki rangat do ek din chal pati hai
KHushbu ka mahkana chalta rahta hai