pyar ke aaghosh mein hum ko Thaharna hi nahin
aarzu ki us gali se ab guzarna hi nahin
chiKHen meri sun ke bhi jab shab ne nazren pher lin
KHauf kam us tirgi ka ab to karna hi nahin
ye safar mushkil sahi par hum to chalte jaenge
de koi aawaz lekin ab Thaharna hi nahin
ye ghazab ki raunaqen kis kaam ki apne liye
sulh ab KHushiyon se hargiz hum ko karna hi nahin
aab jab is zindagi ka ho gaya be-kar to
Dub kar dobara is mein ab nikharna hi nahin
tum the shamil thi udasi bhi janaze par mere
ho chuke ruKHsat hamein ab tum pe marna hi nahin

Ghazal
Pyar ke aaghosh mein hum ko Thaharna hi nahin
Monika Sharma Sarthi