puchho na kuchh kaTe hai ab auqat kis tarah
hai ye hi gham ki aaenge wo hat kis tarah
'maruf' se ye main ne jo puchha ki in dinon
batla tere guzarte hai auqat kis tarah
kahne laga ki rote guzarta hai mujh ko din
phir main kaha ki din to hua raat kis tarah
bola ki raat waqt-e-mulaqat-e-yar hai
puchha jo main ki shakl-e-mulaqat kis tarah
bola ki hum ko ek munajat yaad hai
main ne kaha sunin wo munajat kis tarah
be-iKHtiyar ro ke kaha dil laga kahin
kahne ki baat hai ye kahun baat kis tarah
Ghazal
Puchho na kuchh kaTe hai ab auqat kis tarah
Maroof Dehlvi

