puchha hi nahin us ne kabhi haal hamara
bas yun hi guzar jata hai har sal hamara
rahti hai KHabar sare zamane ki hamein bhi
phaila hai bahut dur talak jal hamara
mushkil hai kisi kaam ka hona bhi yahan par
ho jata hai har kaam ba-har-haal hamara
hum ne to numaish bhi lagai nahin phir bhi
bazar mein chal jata hai har mal hamara
pahchan zamane se alag hi hai hamari
milta nahin har ek se sur-tal hamara
mumkin hai ki ban jaen shahanshah-e-ghazal hum
waise to irada nahin filhaal hamara
Ghazal
Puchha hi nahin usne kabhi haal hamara
Khawaja Javed Akhtar

