pichhli rafaqaton ka na itna malal kar
apni shikastagi ka bhi thoDa KHayal kar
Das le kahin tumhin ko na mauqa nikal kar
rakkho na aastin mein koi sanp pal kar
sharmindagi ka zaKHm na gahra lage kahin
kuchh is qadar daraaz na dast-e-sawal kar
meri tarah na tu bhi ghuTan ka shikar ho
KHud apni KHwahishon ko na yun paemal kar
jo aap ki nigah mein itna buland hai
dekha hai us ka zarf bhi main ne khangal kar
lamhon ki tund mauj se bachna muhaal hai
rakhkhoge kaise yaad ki KHushbu sambhaal kar
'arman' bas ek lazzat-e-izhaar ke siwa
milta hai kya KHayal ko lafzon mein Dhaal kar
Ghazal
Pichhli rafaqaton ka na itna malal kar
Arman Najmi