phulon ke des chand sitaron ke shahr mein
barbaad ho raha hun nigaron ke shahr mein
mauj-e-saman mein zahr hai baad-e-saba mein aag
dam ghuT raha hai yasmin-zaron ke shahr mein
aansu hun hans raha hun shagufon ke darmiyan
shabnam hun jal raha hun shararon ke shahr mein
wo main hun jis ne shola-e-saghar uchhaal kar
ki hai KHizan ki baat bahaaron ke shahr mein
ye qila aur ye masjid-e-shah-e-jahan ka auj
kis darja sar-nigun hun manaron ke shahr mein
ai meri fitrat-e-tarab-agin KHata-muaf
sharminda hun main zulm ke maron ke shahr mein
bas main banunga KHusraw-e-mahtab ai 'salam'
socha hai ye dhuen ke ghubaron ke shahr mein
Ghazal
Phulon ke des chand sitaron ke shahr mein
Salam Machhli shahri