اردو हिंदी
Phul the baadal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi | Shaahi Shayari
phul the baadal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi

Ghazal

Phul the baadal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi

Muneer Niyazi

;

phul the baadal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi
dil mein lekin aur hi ek shakl ki hasrat bhi thi

jo hawa mein ghar banae kash koi dekhta
dasht mein rahte the par tamir ki aadat bhi thi

kah gaya main samne us ke jo dil ka muddaa
kuchh to mausam bhi ajab tha kuchh meri himmat bhi thi

ajnabi shahron mein rahte umr sari kaT gai
go zara se fasle par ghar ki har rahat bhi thi

kya qayamat hai 'munir' ab yaad bhi aate nahin
wo purane aashna jin se hamein ulfat bhi thi