phul par os ka qatra bhi ghalat lagta hai
jaane kyun aap ko achchha bhi ghalat lagta hai
mujh ko malum hai mahbub-parasti ka azab
der se chand nikalna bhi ghalat lagta hai
aap ki harf-adai ka ye aalam hai ki ab
peD par shahd ka chhatta bhi ghalat lagta hai
ek hi tir hai tarkash mein to ujlat na karo
aise mauqe pe nishana bhi ghalat lagta hai
shaKH-e-gul kaT ke tirshul bana dete ho
kya gulabon ka mahakna bhi ghalat lagta hai
Ghazal
Phul par os ka qatra bhi ghalat lagta hai
Ahmad Kamal Parwazi