phir ye kis ne mujhe jagaya hai
phir se KHwabon mein kaun aaya hai
phir se nam ye huin hain kyun aankhen
phir tumhaara KHayal aaya hai
phir se ruThi hai kyun ye shahnai
phir se matam ka mah aaya hai
aarzu ho gai hai phir bebak
phir KHabar garm koi laya hai
phir nae sal ki hai tayyari
jashn par goliyon ka saya hai
phir chaman mein rahega hangama
phir naya phul koi aaya hai
phir se baadal hain aasmanon mein
abr ummiden le kar aaya hai
phir saza ka hua hai andesha
mujh ko tanhai mein bulaya hai
phir se tariKH ban gaya mauzua
phir se qissa naya banaya hai
phaT rahi hai ye phir se dharti kyun
phir se yazdan ka qahr aaya hai
ghar hua hai KHuda ka viran phir
phir se aaseb is pe chhaya hai
phir se qanun taq par rakkha
phir se dangaiyon ko laya hai
dekho to ghaur se wahi zalim
phir se chehra badal ke aaya hai
phir se chhai hai ek KHamoshi
phir naya zulm koi Dhaya hai
phir hai basti mein ek bechaini
phir naya fitna aazmaya hai
phir se KHatra khaDa hai munh khole
phir se apna hua paraya hai
phir se mandir mein shankh phunke hain
phir se gumbad mein KHauf aaya hai
sazishen band hon to dam aae
phir lage desh lauT aaya hai
Ghazal
Phir ye kis ne mujhe jagaya hai
Ozair Rahman