phir wahi shab wahi sitara hai
phir wahi aasman hamara hai
wo jo tamir thi tumhaari thi
ye jo malba hai sab hamara hai
wo jazira hi kuchh kushada tha
hum ne samjha yahi kinara hai
chahta hai ki kahkashan mein rahe
mere andar jo ek sitara hai

Ghazal
Phir wahi shab wahi sitara hai
Vikas Sharma Raaz