اردو हिंदी
Phir wahi be-dili phir wahi mazarat | Shaahi Shayari
phir wahi be-dili phir wahi mazarat

Ghazal

Phir wahi be-dili phir wahi mazarat

Liyaqat Ali Aasim

;

phir wahi be-dili phir wahi mazarat
bas bahut ho chuka zindagi mazarat

KHud-kalami se bhi ruTh jati hai tu
ab na bolunga ai KHamushi mazarat

dhup Dhal bhi chuki sae uTh bhi chuke
ab mere yar kis baat ki mazarat

dad be-dad mein dil nahin lag raha
dosto shukriya shaeri mazarat

be-KHudi mein KHudai ka dawa kiya
ai KHuda dar-guzar ai KHudi mazarat

tujh se guzri hui zindagi mang li
rabb-e-imroz-o-farda-o-di mazarat

ek nazar us ne dekha hai 'asim' chalo
dur hi se sahi ho chuki mazarat