phir usi but se mohabbat chup raho
aur phir us par shikayat chup raho
chashm-e-pur-nam tham ke ab meri suno
ishq mein ye kaisi ujlat chup raho
koi hasrat gar bikhar jae bhi to
jaan kar yarab ki hikmat chup raho
tabsire hon hijr par ya wasl par
ab kahan hum ko hai fursat chup raho
KHutba-e-aKHir mein sab samjha diya
kar di qaem hum ne ulfat chup raho
sab bayan tum kar chuke ab rah lo
sab jo chup hain tum bhi 'ulfat' chup raho
Ghazal
Phir usi but se mohabbat chup raho
Shadab Ulfat