phir ulajhte hain wo gesu ki tarah
phir kaji par hain wo abru ki tarah
shahr-e-wahshat mein kahan ghar kaisa
dasht mein rahte hain aahu ki tarah
husn aur ishq ko aao taulen
donon aankhon se taraazu ki tarah
mujh ko aankhon mein jagah do chande
phir gira dijiyo aansu ki tarah
na kahunga ki sanwaro zulfen
phir ulajh jaenge gesu ki tarah
ai 'saKHi' phirti hai kis KHal ki shakl
samne aankh ke bichchhu ki tarah

Ghazal
Phir ulajhte hain wo gesu ki tarah
Sakhi Lakhnvi