اردو हिंदी
Phir tere reshmi lab mujhko manane aae | Shaahi Shayari
phir tere reshmi lab mujhko manane aae

Ghazal

Phir tere reshmi lab mujhko manane aae

Neena Sahar

;

phir tere reshmi lab mujh ko manane aae
pyas janmon ki phir ek bar bujhane aae

yaad se us ki kaho aaj satane aae
KHwab aankhon se, sakun dil se churane aae

aaj phir dard ke bazar saje hain yaro
ashk phir aankhon mein dukan lagane aae

tu ne ehsas ki daulat se nawaza tha magar
zist ke fikr-o-alam hosh uDane aae

muntazir aaj talak bhi hain ki is raat kabhi
tu kisi aur se milne ke bahane aae

kam-sini mujh mein yahi soch ke zinda hai 'sahar'
main jo ruThun to kabhi tu bhi manane aae