phir kya jo phuT phuT ke KHalwat mein roiye
yaksar jahan hi ko na jab tak Duboiye
diwana-war nachiye hansiye gulon ke sath
kanTe agar milen to jigar mein chubhoiye
aansu jahan bhi jis ki bhi aankhon mein dekhiye
moti samajh ke rishta-e-jaan mein piroiye
har subh ek jazira-e-nau ki talash mein
sahil se dur shorish-e-tufan ke hoiye
Ghazal
Phir kya jo phuT phuT ke KHalwat mein roiye
Urfi Aafaqi