phir koi mushkil jawan hone ko hai
doston ka imtihan hone ko hai
jhonke dam sadhe khaDe hain chaar-su
koi hangama yahan hone ko hai
bhig jaane par bhi jo bujhta na tha
aaj wo shoala dhuan hone ko hai
ye bahaaren aur gul buTe niDhaal
fasl-e-gul daur-e-KHizan hone ko hai
zindagi se kijiye ummid kya
zindagi KHud raegan hone ko hai
zabt ka had se guzarna dekhiye
raaz aankhon se bayan hone ko hai
manzil-e-maqsud jab aai nazar
rahbar sang-e-garan hone ko hai
Ghazal
Phir koi mushkil jawan hone ko hai
Amar Singh Figar