phir bapa shahar mein afraatafri kar jae
koi ye sukhi hui Dar hari kar jae
jab bhi iqrar ki kuchh raushaniyan jama karun
meri tardid meri be-basari kar jae
madan-e-shab se nikale zar-e-KHushbu aa kar
aae ye moajiza baad-e-sahari kar jae
kasraten aaen nazar zat ki yaktai mein
ye tamasha kabhi aashufta-sari kar jae
lamha munsif bhi hai mujrim bhi hai majburi ka
faeda shak ka mujhe de ke bari kar jae
us ka mear hi kya roz badal jata hai
chhoDiye! wo jo agar na-qadri kar jae
Ghazal
Phir bapa shahar mein afraatafri kar jae
Aftab Iqbal Shamim