اردو हिंदी
PhaTa hua jo gareban dikhai deta hai | Shaahi Shayari
phaTa hua jo gareban dikhai deta hai

Ghazal

PhaTa hua jo gareban dikhai deta hai

Abid Wadood

;

phaTa hua jo gareban dikhai deta hai
kisi ka dard numayan dikhai deta hai

nikalna chahta hun jism ke hisar se main
ki apna tan mujhe zindan dikhai deta hai

sara-e-dahr mein Thahra hua musafir hun
ajib be-sar-o-saman dikhai deta hai

tere labon ke tabassum ko kis se dun tashbih
ki ghuncha bhi to pareshan dikhai deta hai

har ek shaKHs kisi KHauf ki giraft mein hai
tamam shahr hirasan dikhai deta hai

jo ho sake to kabhi us ki ruh mein jhanko
qaba pahan ke jo uryan dikhai deta hai

maash aisi ki sunsan hain gali bazar
bhaTakta aisa ki insan dikhai deta hai