phaili hui hai sari dishaon mein raushni
lekin nahin charagh ki chhanw mein raushni
ab to panapne wali hain raushan-KHayaliyan
aai nai nai mere ganw mein raushni
ek hath dusre ko sujhai na de magar
hum ne chhupa rakhi hai ridaon mein raushni
din-o-mashiyat-o-siyasat ke peshwa
zehnon mein tirgi to adaon mein raushni
sab log mashalon ki tamanna mein KHar the
garche paDi thi apne hi panw mein raushni
'zishan' siyahiyon ke numainda bhi hain hum
aur hum hi chahte hain ataon mein raushni
Ghazal
Phaili hui hai sari dishaon mein raushni
Zeeshaan sajid