phaila na yun KHulus ki chadar mere liye
kal tak tha tere hath mein patthar mere liye
palkon pe kuchh hasin se moti saja gaya
phir suni suni sham ka manzar mere liye
diwar-o-dar se us ke Tapakti hai tishnagi
ek dasht-e-be-karan hai mera ghar mere liye
KHushbu jo pyar ki mujhe deta tha ab wahi
rakhta hai dast-e-naz mein KHanjar mere liye
ye shab baDi tawil hai jaun kahan 'wali'
ab band ho chuke hain sabhi dar mere liye

Ghazal
Phaila na yun KHulus ki chadar mere liye
Vali Madni