pesh-e-manzar jo tamashe the pas-e-manzar bhi the
hum hi the mal-e-ghanimat hum hi ghaarat-gar bhi the
aastinon mein chhupa kar sanp bhi lae the log
shahr ki is bhiD mein kuchh log bazigar bhi the
barf-manzar dhul ke baadal hawa ke qahqahe
jo kabhi dahliz ke bahar the wo andar bhi the
aaKHir-e-shab dard ki TuTi hui baisakhiyan
aaDe-tirchhe zawiye mausam ke chehre par bhi the
raat hum ne jugnuon ki sab dukanen bech din
subh ko nilam karne ke liye kuchh ghar bhi the
kuchh bila-unwan rishte ajnabi sargoshiyan
ratjagon ke jashn mein zaKHmon ke saudagar bhi the
shab-paraston ke nagar mein but-parasti hi na thi
wahshaten thin sang-e-marmar bhi tha karigar bhi the
is KHarabe mein nae mausam ki sazish thi to 'rind'
lazzat-e-ehsas ke lamhon ke jalte par bhi the
Ghazal
Pesh-e-manzar jo tamashe the pas-e-manzar bhi the
P P Srivastava Rind