pech rakhte ho bahut sahibo dastar ke bich 
hum ne sar girte hue dekhe hain bazar ke bich 
baghbanon ko ajab ranj se takte hain gulab 
gul-farosh aaj bahut jama hain gulzar ke bich 
qatil is shahr ka jab banT raha tha mansab 
ek darwesh bhi dekha usi darbar ke bich 
kaj-adaon ki inayat hai ki hum se ushshaq 
kabhi diwar ke pichhe kabhi diwar ke bich 
tum ho na-KHush to yahan kaun hai KHush phir bhi 'faraaz' 
log rahte hain isi shahr-e-dil-azar ke bich
 
        Ghazal
Pech rakhte ho bahut sahibo dastar ke bich
Ahmad Faraz

