اردو हिंदी
Payam le ke jo paigham-bar rawana hua | Shaahi Shayari
payam le ke jo paigham-bar rawana hua

Ghazal

Payam le ke jo paigham-bar rawana hua

Bekhud Badayuni

;

payam le ke jo paigham-bar rawana hua
hasad ko hila mila ashk ko bahana hua

wo meri aah jo sharminda-e-asar na hui
wo mera dard jo minnat-kash-e-dawa na hua

KHayal mein na rahin suraten azizon ki
watan se chhuTe hue is qadar zamana hua

wo dagh jis ko jagah dil mein di thi jite-ji
charagh bhi to hamare mazar ka na hua

pari-washon ko sunate hain qissa-KHwan 'beKHud'
hamara haal na Thahra koi fasana hua