patthar nazar thi waiz-e-KHana-KHarab ki
TuTi hai kya taDaq se botal sharab ki
kuchh aasman ne KHak uDai pas-e-fana
kuchh tum ne ai buto meri miTTi KHarab ki
pi kar na zabt waiz-e-kam-zarf se hua
kya apne sath mai ki bhi miTTi KHarab ki
kanTa hun bagh mein to main bijli hun charKH par
ye rang-e-laghari hai wo shakl iztirab ki
bu-e-sharab aati hai har ek nafas ke sath
pahlu mein dil hai ya koi botal sharab ki
lail-o-nahaar bhi hain hasinon ke waste
din aaftab ka hai to shab mahtab ki
mere gunah jo chashm-e-karam mein sama gae
aankhen jhuka ke rah gai mizan hisab ki
aai jo ruh paikar-e-KHaki mein ai 'wasim'
ghabra ke bol uThi meri miTTi KHarab ki

Ghazal
Patthar nazar thi waiz-e-KHana-KHarab ki
Waseem Khairabadi