اردو हिंदी
Patthar mein fan ke phul khila kar chala gaya | Shaahi Shayari
patthar mein fan ke phul khila kar chala gaya

Ghazal

Patthar mein fan ke phul khila kar chala gaya

Hafiz Taib

;

patthar mein fan ke phul khila kar chala gaya
kaise amiT nuqush koi chhoDta gaya

simTa tera KHayal to gul-rang ashk tha
phaila to misl-e-dasht-e-wafa phailta gaya

sochon ki gunj thi ki qayamat ki gunj thi
tera sukut hashr ke manzar dikha gaya

ya teri aarzu mujhe le aai is taraf
ya mera shauq rah mein sahra bichha gaya

wo jis ko bhulne ka tasawwur muhaal tha
wo ahd rafta rafta mujhe bhulta gaya

jab us ko pas-e-KHatir-e-azurdagan nahin
muD muD ke kyun wo dur talak dekhta gaya