pata kahin se tera ab ke phir laga lae
suhane KHwab naya mashghala uTha lae
lagi thi aag to ye bhi to us ki zad mein the
ajib log hain daman magar bacha lae
chalo to rah mein kitne hi dariya aate hain
magar ye kya ki unhen apne ghar baha lae
tujhe bhulane ki koshish mein phir rahe the ki hum
kuchh aur sath mein parchhaiyan laga lae
suna hai chehron pe bikhri paDi hain tahriren
uDa ke kitne waraq dekhen ab hawa lae
na ibtida ki KHabar aur na intiha malum
idhar udhar se suna aur bas uDa lae
Ghazal
Pata kahin se tera ab ke phir laga lae
Aashufta Changezi