اردو हिंदी
Pas-e-diwar zindan zindagi maujud rahti hai | Shaahi Shayari
pas-e-diwar zindan zindagi maujud rahti hai

Ghazal

Pas-e-diwar zindan zindagi maujud rahti hai

Islam Uzma

;

pas-e-diwar zindan zindagi maujud rahti hai
andheri raat mein bhi raushni maujud rahti hai

sar-e-darbar-o-maqtal ek sa mausam ana ka hai
garan sar mein hamesha sar-kashi maujud rahti hai

rawan rakhte hain hum ko dasht-e-dariya dhup darwaze
sarabon se safar mein tishnagi maujud rahti hai

nazar se joD rakhta hai ye dil aise bhi nazzare
ki baad-az-marg bhi hairangi maujud rahti hai

bahut aasan rahen bhi bahut aasan nahin hotin
sabhi raston mein thoDi gumrahi maujud rahti hai

meri sochon mein yun rach bas gae hain shabnami mausam
tawatur se tah-e-mizhgan nami maujud rahti hai

talatum mein sada rahti hain kirnen husn-e-taban ki
nasib-e-dushmanan kuchh barhami maujud rahti hai

nikal pata nahin main kucha-e-be-nam se 'azmi'
ki asbab-e-safar mein kuchh kami maujud rahti hai