parinde puchhte hain tum ne kya qusur kiya
wo kya kahen jinhen hijrat ne ghar se dur kiya
yahi bahut hai ki us ahd-e-be-payambar mein
kahin charagh kahin KHwab ne zuhur kiya
ye mera KHak mein milna basa ghanimat hai
ki main ne ijz ki KHatir bahut ghurur kiya
falak se phenk ke dekha ki TuTne ka nahin
gira ke apni nigahon se chur chur kiya
ghubar-e-dar-ba-dari jis ne kar diya mujh ko
musafiron ko usi dhup ne khajur kiya
Ghazal
Parinde puchhte hain tumne kya qusur kiya
Abbas Tabish