اردو हिंदी
Parinde be-KHabar the sab panahen kaT chuki hain | Shaahi Shayari
parinde be-KHabar the sab panahen kaT chuki hain

Ghazal

Parinde be-KHabar the sab panahen kaT chuki hain

Khushbir Singh Shaad

;

parinde be-KHabar the sab panahen kaT chuki hain
safar se lauT kar dekha ki shaKHen kaT chuki hain

laraz jata hun ab to ek jhonke se bhi aksar
main wo KHema hun jis ki sab tanaben kaT chuki hain

bahut be-rabt rahne ka ye KHamyaza hai shayad
ki manzil samne hai aur rahen kaT chuki hain

hamein tanhai ke mausam ki aadat paD chuki hai
ki is mausam mein ab to kitni raaten kaT chuki hain

nae manzar ke KHwabon se bhi Dar lagta hai un ko
purane manzaron se jin ki aankhen kaT chuki hain