parde mein har aawaz ke shamil to wahi hai
hum lakh badal jaen magar dil to wahi hai
mauzu-e-suKHan hai wahi afsana-e-shirin
mahfil ho koi raunaq-e-mahfil to wahi hai
mahsus jo hota hai dikhai nahin deta
dil aur nazar mein had-e-fazil to wahi hai
har chand tere lutf se mahrum nahin hum
lekin dil-e-betab ki mushkil to wahi hai
girdab se nikle bhi to jaenge kahan hum
Dubi thi jahan naw ye sahil to wahi hai
luT jate hain din ko bhi jahan qafile wale
hushiyar musafir ki ye manzil to wahi hai
wo rang wo aawaz wo saj aur wo surat
sach kahte ho tum pyar ke qabil to wahi hai
sad-shukr ki is haal mein jite to hain 'nasir'
hasil na sahi kawish-e-hasil to wahi hai
Ghazal
Parde mein har aawaz ke shamil to wahi hai
Nasir Kazmi