اردو हिंदी
Parda ulaT ke usne jo chehra dikha diya | Shaahi Shayari
parda ulaT ke usne jo chehra dikha diya

Ghazal

Parda ulaT ke usne jo chehra dikha diya

Mirza Raza Barq

;

parda ulaT ke us ne jo chehra dikha diya
rang-e-ruKH-e-bahaar-e-gulistan uDa diya

wahshat mein qaid-e-dair-o-haram dil se uTh gai
haqqa ki mujh ko ishq ne rasta bata diya

phir jhank-tak aankhon ne meri shurua ki
phir gham ka mere nalon ne lagga laga diya

angDai donon hath uTha kar jo us ne li
par lag gae paron ne pari ko uDa diya

sikhi hai us jawan ne pir-e-falak ki chaal
hir-phir ke mujh ko KHak mein aaKHir mila diya

wo sair ko jo aae to sadqe mein un ko 'barq'
har ek gul ne tair-e-nikhat uDa diya