parda-e-zehn se saya sa guzar jata hai
jaise pal bhar ko mera dil bhi Thahar jata hai
teri yaadon ke diye jab bhi jalata hai ye dil
husn kuchh aur shab-e-gham ka nikhar jata hai
hasraten dil ki mujassam nahin hone patin
KHwab banne nahin pata ki bikhar jata hai
raat bhige to ek anjaan sa benam sa dard
chandni ban ke fazaon mein bikhar jata hai
raat kaTe nahin kaTti hai kisi surat se
din to duniya ke bakheDon mein guzar jata hai
us ko bhi kahte hain 'mumtaz' wafa ka naghma
dil-e-betab mein ghuT ghuT ke jo mar jata hai
Ghazal
Parda-e-zehn se saya sa guzar jata hai
Mumtaz Mirza