parda-e-dard mein aaram baTa karte hain
us ki dargah mein inam baTa karte hain
bab-e-saqi pe ilahi mera suraj Dube
sham hote hi jahan jam baTa karte hain
us ke dar par mujhe ai gardish-e-qismat le chal
sab nikammon ko jahan kaam baTa karte hain
pyas mein dida-e-darwesh ne talim ye di
mai-kade jao jahan jam baTa karte hain
dil-e-muztar ko tasalli wahi dega 'muztar'
jis ki dargah mein aaram baTa karte hain

Ghazal
Parda-e-dard mein aaram baTa karte hain
Muztar Khairabadi