parai aag mein jalne ki aarzu hai wahi
badal gaya hai magar wahshaton ki KHu hai wahi
wo shahr chhoD ke muddat hui chala bhi gaya
had-e-ufuq pe magar chand ru-ba-ru hai wahi
zamana lakh sitaron ko chhu ke aa jae
abhi dilon ko magar hajat-e-rafu hai wahi
qarib tha to sabhi us se be-KHabar the magar
chala gaya hai to mauzu-e-guftugu hai wahi
Ghazal
Parai aag mein jalne ki aarzu hai wahi
Khaleel Tanveer