para bandhe saf-e-mizhgan khaDi hai
nigah-e-shauq kya mari paDi hai
maze luTo kalim ab ban paDi hai
baDi unchi jagah qismat laDi hai
gulon ki KHushnuma baddhi paDi hai
tera qad kya hai phulon ki chhaDi hai
nigah-e-shauq bhi naT-khaT paDi hai
kisi se tur par ja kar laDi hai
kaDi hai choT ye be-shak kaDi hai
adu hai aur phulon ki chhaDi hai
adu ke waste duniya ka hai aish
musibat mere hisse mein paDi hai
hawa se tez aate hain tere tir
kaman ki tarah chuTki bhi kaDi hai
maze mein rang mein tezi mein saqi
mai-e-tasnim kya phiki paDi hai
karamat hai sar-e-naseh ki ye bhi
ki achchhe hath ki achchhi paDi hai
ye kis ne phul Dale hain lahad par
juda har pankhuDi se pankhuDi hai
lab-e-jaanan ne di taskin dam-e-naza
hamari jaan mein jaan ab paDi hai
kahan bijli mein ye betabiyan thin
dil-e-muztar ki parchhain paDi hai
na dushman ke chubha KHar us gali mein
hamare waste suli khaDi hai
jo lo karwaT to main samjhun shab-e-hijr
ye choTi kis liye pichhe paDi hai
tere qad ne use sidha banaya
qayamat hai ki sakte mein khaDi hai
qaza ka bhi paDa hai mujh ko rona
barabar mere wo bismil paDi hai
ye kya andher hai subh-e-shab-e-wasl
na surma hai na missi ki dhaDi hai
paTak kar jam-e-mai hum kab rahe pak
ki uD kar chhinT daman par paDi hai
Daraate hain ki us se Darte rahna
baDi kaljibbhi misi ki dhaDi hai
hua bhaari main aisa naKHl-e-gul par
mere sae se Dali phaT paDi hai
kafan ka gosha-e-daman to ulTo
ye hasrat munh lapeTe kyun paDi hai
na musi hain na hai barq-e-sar-e-tur
nae tum ho nai hum par paDi hai
laga deta koi miTTi Thikane
'riyaz' ek aarzu murda paDi hai
Ghazal
Para bandhe saf-e-mizhgan khaDi hai
Riyaz Khairabadi