panchhiyon ki kisi qatar ke sath
baal-o-par bhi gae bahaar ke sath
kaam aasan to nahin phir bhi
ji rahe hain dil-e-figar ke sath
aansuon ki tarah wajud mera
bahta jata hai aabshaar ke sath
uD raha hai jo teri galiyon mein
main bhi shamil hun us ghubar ke sath
sham-e-wahshat kahan pe le aai
tu mujhe apne intizar ke sath
aur bhi ek hisar hai 'azhar'
shahr-e-zindan ke is hisar ke sath
Ghazal
Panchhiyon ki kisi qatar ke sath
Azhar Abbas