اردو हिंदी
Palkon tak aa ke ashk ka sailab rah gaya | Shaahi Shayari
palkon tak aa ke ashk ka sailab rah gaya

Ghazal

Palkon tak aa ke ashk ka sailab rah gaya

Anjum Khaleeq

;

palkon tak aa ke ashk ka sailab rah gaya
dariya darun-e-halqa-e-girdab rah gaya

ye kaun hai ki jis ko ubhaare hue hai mauj
wo shaKHs kaun tha jo tah-e-ab rah gaya

naKHl-e-ana mein zor-e-numu kis ghazab ka tha
ye peD to KHizan mein bhi shadab rah gaya

kya shahr par khuli hi nahin aayat-e-KHulus
kya ek main hi waqif-e-adab rah gaya

kuchh zikr-e-yar jis mein tha kuchh zikr-e-wasl-e-yar
tadwin-e-zindagi mein wahi bab rah gaya

jo shai yahan ki thi wo yahin chhoD di magar
aankhon ke bich ek tera KHwab rah gaya

dekha jo phir se jaanib-e-dariya rawan mujhe
bal kha ke apne aap mein girdab rah gaya

'anjum' teri zamin abhi kitni dur hai
koson-pare to qariya-e-mahtab rah gaya