palkon pe sitara sa machalne ke liye tha
wo shaKHs in aankhon mein pighalne ke liye tha
wo zulf hawaon mein bikharne ke liye thi
aur jism mera dhup mein jalne ke liye tha
jis rose tarashe gae ye zaKHm usi roz
ek zaKHm meri ruh mein palne ke liye tha
us KHwab ki tabir mujhe milti bhi kaise
wo KHwab to afsanon mein Dhalne ke liye tha
jis rah ke patthar ko 'rawish' kos rahe the
wo rah ka patthar to sambhalne ke liye tha
Ghazal
Palkon pe sitara sa machalne ke liye tha
Shamim Ravish