palkon pe kuchh charagh farozan hue to hain
is zindagi ke marhale aasan hue to hain
meri jabin ne jin ko nawaza tha kal talak
wo zarre aaj mehr-e-daraKHshan hue to hain
nadim bhi honge apni jafaon pe ek din
wo kam-nigahiyon pe pashiman hue to hain
sham-e-wafa jalate hain zulmat-kadon mein jo
wo log is jahan mein pareshan hue to hain
kis mauj-e-KHun se guzre hain 'mumtaz' kya kahen
kahne ko aaj hum bhi ghazal-KHwan hue to hain
Ghazal
Palkon pe kuchh charagh farozan hue to hain
Mumtaz Mirza

