palaT ke jaanib-e-ahl-o-ayal dekhta hun
kabhi jab apne lahu mein ubaal dekhta hun
hanuz kuchh bhi badalta nazar nahin aata
hujum dekhta hun ishtial dekhta hun
shikast-o-reKHt se mujh ko guzarta hai wahi
isi ke chehre pe gard-e-malal dekhta hun
sab ek dhund liye phir rahe hain aankhon mein
kisi ke chehre pe mazi na haal dekhta hun
laga hua hun usi rang ko ubhaarne mein
abhi ghazal mein jise KHal KHal dekhta hun
tamam surat-e-haalat inqilabi hai
falak shikasta zamin paemal dekhta hun
mujhe sameT ke rakhta hai kitni der 'talab'
kisi ke husn-e-nazar ka kamal dekhta hun
Ghazal
PalaT ke jaanib-e-ahl-o-ayal dekhta hun
Khurshid Talab