palak jhapakte mein kaTte hain roz o shab mah o sal
jo fasle the man o tu ke darmiyan na rahe
wafa rifaqat-e-yak-umr kuchh nahin lekin
ye chahta hun ki roun bahut gale mil ke
masaf-e-zist mein wo ran paDa hai aaj ke din
na main tumhaari tamanna hun aur na tum mere
rafiq-o-yar kahan ai hijab-e-tanhai
bas apne chehre ko takta hun aaina rakh ke
hazar shor-e-tamasha ho aankh baz na ho
wo KHwab dekh ke baiTha hun umr bhar ke liye
Ghazal
Palak jhapakte mein kaTte hain roz o shab mah o sal
Mahmood Ayaz