اردو हिंदी
Pala hun nafrat ki aandhiyon mein magar mohabbat se munh na moDun | Shaahi Shayari
pala hun nafrat ki aandhiyon mein magar mohabbat se munh na moDun

Ghazal

Pala hun nafrat ki aandhiyon mein magar mohabbat se munh na moDun

Khalid Iqbal Yasir

;

pala hun nafrat ki aandhiyon mein magar mohabbat se munh na moDun
hamesha bazu kushada rakhkhun kabhi murawwat se munh na moDun

zamane bhar ki tamam talKHi ho chahe mere lahu mein shamil
purani nakaamiyon se Dar ke nai shararat se munh na moDun

jabin pe nagah paDne wali shikan agar mustaqil hui hai
to zer-e-lab muskuraate rahne ki achchhi aadat se munh na moDun

bura bhala wasta bahar-taur us se kuchh der to raha hai
kahin sar-e-rah samna ho to itni shiddat se munh na moDun

jo dar pe aa hi gai hai 'yasir' to mujh pe lazim hai KHair-maqdam
hazar be-dil sahi par is khurduri haqiqat se munh na moDun