اردو हिंदी
Paikar-e-naz pe jab mauj-e-haya chalti thi | Shaahi Shayari
paikar-e-naz pe jab mauj-e-haya chalti thi

Ghazal

Paikar-e-naz pe jab mauj-e-haya chalti thi

Hasan Nayeem

;

paikar-e-naz pe jab mauj-e-haya chalti thi
qarya-e-jaan mein mohabbat ki hawa chalti thi

un ke kuche se guzarta tha uThae hue sar
jazba-e-ishq ke hamrah ana chalti thi

ek zamana bhi chala sath to aage aage
gard uDati hui ek mauj-e-bala chalti thi

parda-e-fikr pe har aan chamakte the nujum
farsh ta arsh koi mah-liqa chalti thi

main hi tanha na KHarabon se guzarta tha 'naim'
sham ta subh sitaron ki ziya chalti thi