اردو हिंदी
Paik-e-KHayal bhi hai ajab kya jahan-numa | Shaahi Shayari
paik-e-KHayal bhi hai ajab kya jahan-numa

Ghazal

Paik-e-KHayal bhi hai ajab kya jahan-numa

George Puech Shor

;

paik-e-KHayal bhi hai ajab kya jahan-numa
aaya nazar wo pas jo apne se dur tha

us mah-ru pe aankh kisi ki na paD saki
jalwa tha tur ka ki sarasar wo nur tha

dete na dil jo tum ko to kyun banti jaan par
kuchh aap ki KHata na thi apna qusur tha

zarre ki tarah KHak mein pamal ho gae
wo jin ka aasman pe sar-e-pur-ghurur tha