pahuncha diya umid ko tufan-e-yas tak
bujhne na di furaat ne bachchon ki pyas tak
pahle to dastaras thi shajar ke libas tak
lekin KHizan ne noch liya sab ka mas tak
chhiDka gaya hai zahar daraKHton pe is qadar
talKHi mein Dhal gai hai phalon ki miThas tak
is bar bhi libas ko tarsengi chunniyan
ye raunaqen hain chehron pe khilti kapas tak
kaghaz pe us ki shakl banata hun raat bhar
'nasik' nahin hun jis ka main chehra-shanas tak
Ghazal
Pahuncha diya umid ko tufan-e-yas tak
Athar Nasik