pahunch gaya tha wo kuchh itna raushni ke qarib
bujha charagh to palTa na tirgi ke qarib
sulagti ret pe bhi us ka hausla dekho
hui na pyas kabhi KHema-zan nami ke qarib
badan ke dasht mein jab dafn ho gaya ehsas
wafa phaTakti bhala kaise aadmi ke qarib
hamari pyas ke suraj ne Dal kar kirnen
kiya hai gahre samundar ko tishnagi ke qarib
jo zaKHm-e-dil ko rafu kar raha tha ashkon se
hamare baad na dekha gaya kisi ke qarib
bashar ne chand sitaron ko chhu liya lekin
ye aadmi na kabhi aaya aadmi ke qarib
hamare bachchon ke lab pyas se hain jhulse hue
hamari lash bhi rakhna na tum nami ke qarib
ye kis ke nam se baDhti hain dhaDkanen dil ki
ye kaun hai mere ehsas-e-zindagi ke qarib
Ghazal
Pahunch gaya tha wo kuchh itna raushni ke qarib
Sharib Mauranwi