pahunch gae to karenge idhar-udhar ki talash
abhi to hai hamein un ki gali mein ghar ki talash
hamare aib mein jis se madad mile hum ko
hamein hai aaj-kal aise kisi hunar ki talash
charagh le ke phira DhunDhta hua ghar ghar
shab-e-firaq jo mujh ko rahi sahar ki talash
talash-e-yar mein kaam aa gae hami aaKHir
hamare kaam nahin aai umr bhar ki talash
yunhi kabhi dur-e-mazmun mila nahin 'natiq'
bahut se ghote khilati hai ek guhar ki talash
Ghazal
Pahunch gae to karenge idhar-udhar ki talash
Natiq Gulavthi