pahli si chahaton ke wo manzar nahin rahe
aashiq to be-shumar hain dilbar nahin rahe
is ahd-e-nau mein aur to sab kuchh mila magar
sharm-o-haya ke qimti zewar nahin rahe
ye phul ye charagh ye taron ka qafila
sab kuchh hai tere KHwab ke paikar nahin rah
dil ke nagar mein qaid hain chahat ki bulbulen
wo mausam-e-bahaar ke manzar nahin rahe
lai thi jitni sipiyan sab banjh ho gain
hairan hun kisi mein bhi gauhar nahin rahe
main ne 'nigar' sansen bhi kar din thi jin ke nam
wo ek pal ko bhi mere ho kar nahin rahe
Ghazal
Pahli si chahaton ke wo manzar nahin rahe
Nigar Azeem